Paper plate, Dona aur Cup banane ke business kaise start kare?
![]() |
| Paper plates, dona and cups |
Hi Friends,
Main asha karti hoon apko paper plate, dona and cup kya hoti hai pata hoga. Apne koi bhi party me, picnic me ya koi bhi occation me inka use jarur kiye honge. Paper cup me chai ya coffee jarur piye honge.
Ajkal paper made cup aur plate ka use bahut hota hai kyuki plastic ki bane plate aur cup humhare sehat ke liye thik nahi hai issliye paper cup aur plate ki demand bahut jyada bad gayi hai aur iss business me profit bhi bahut jyada hai to sab iss bussiness me apne interest dikha rahe hai agar apko to iss business me interest hai to aap bhi iss business start karke achha munafa kama sakte hai.
About making
To main apko ye plate aur cup kaise bante hai batati hoon. Jyadatar plate paper se bante hai aur thermocoal ka bhi hota hai. Cup jyadatar paper ki hoti hai. Plate aur dona bahut sare materials se banti hai aur design ki banti hai aur iski varity bahut jyada hai market me.
![]() |
| Paper plate making machine |
Paper plate aur cup banane ke liye jo machine ka use hota hai dono hi market me available hai semi-automatic and fully automatic. Aap online store se kharid sakte hai Online Store for Paper plate and cup making machine nahi to aapke near market me se bhi kharid sakte hai. Koi bhi bade town me ye machine mil jayenge.
![]() |
| PLATE MAKING MACHINE |
Machine Price
Machine ki price uski productivity capacity, automation, plate size or cup size, variety weight ke hisab se hoti hai.
- Semi automatic plate making machine around 35,000 se 75,000 Rs ki aati hai.
- Fully automatic plate making machine around single die machine 50,000 to 70,000 Rs hai.
- Fully automatic plate making double die machine 100000 se 250000 Rs hai.
- Fully automatic cup making machine around 6, 00000 to 800000 Rs hai.
- Semi automatic cup making machine around 1,00000 se 25,0000 Rs ki aati hai.
![]() |
| Fully automatic machine |
Raw Material
Iske liye apko polycoated, aluminium coated, leaf coated, thermocoal aur paper jaise raw material ke roll chahiye honge. Ye material aap marker se purchase kar sakte hai nahi to apke pas agar investment ke jyada paisa hai to raw material banane ke machine bhi le sakte hai. Iski price lagbhag 600000 hai. Aapko Indiamart se raw material supplier ki address mil jayegi ya google me search kar sakte hai apne nearest dealer ke bare me.Raw material price in market
- Polycoated raw material 40/kg INR.
- Banana leaf or kela pattta raw material 50/kg INR.
- Almunium coated raw material 59/kg INR.
- Thermocoal roll raw material 180/KG INR.
Ab aap ko batate hai isse kaise plate taiyar karte hai.
Semiautomatic machine me aapko hat se kuch kam karne padte hai jaise cup ke base banane ke liye use machine niche lagane padta hai, plates ko collect karne padte hai aur roll ko bhi refill karna padta hai matlab aapko hat se bhi kuch kam karna padta hai.
Productivity Capacity
Semi-automatic machine 1 hour me almost 500 to 1000 plate bana lete hai.Fully automatic machine ki productivity 80 se 100 plate ya cup per minute hai to agar aap 8 hours bhi machine chalate ho to kuch hi dino me aapki investment ki hui rakam wapas aa jayegi.
Cup making machine ka dam jyada hai aur iski demand bhi jyada hai market me kyuki jyadatar chai ya coffee bechnewale isse use karte hai aur India me nato chai pinewale ki kami hai nayi bechnewale ki. Ye bahut hi papular business hai. Party, office, ghar, picnic, company aur koi bhi occasion ho chai ya coffee to banta hai.
To aap bhi agar ghar se kuch business start karna chahte hai to bahut hi badiya hai paper plate ya cup banane ki business. Jisse ap machine lenge unse aap achhe se demonstration lekar operate karna sikhkar ya youtube/google me video dekhlar machine operate karna sikhiye aur apna business start kar dijiye. Bahut hi jyada profit hai iss business me.




No comments:
Post a Comment