BUSINESS FROM HOME UNDER 5000 K
![]() |
| Idli |
1. Idli ya Dosa Stalls: Aap bahut hi kam investment se iss business ko start kar sakte ho. Pahle to Idli, Dosa South Indian logo ke favorite food thi lekin aajkal puri India ke log isse bade chao se khate hai aur bahut healthy dish bhi hai. Idli, Dosa puri world famous ho chuki hai. Aajkal to automatic idli making machine bhi mil rahi hai market me. Lekin usme bahut kharcha hai. Agar apke pas jyada paisa nahi hai to aap iss business ko 5,000 se 10,000 K se bhi shuru kar sakte hai. Jaise ki ek Idli maker machine kharid lijiye aur ek urad dal wet grinder machine le lijiye then start kar sakte hai. Agar apke pas Stall lene ke liye paise nahi hai to aap ghar se bhi start kar sakte hai aur school ke bahar me bech sakte hai ya office me supply kar sakte hai. Agar aap stall arrange kar sakte hai to bahut hi badiya hai to aap apni roadside stall chalu kar sakte ho. Ish business me jyada chije nahi lagegi. Sabse pahle apko Idli ya dosa banana shikna hoga aur utensil bhi arrange karni padegi jaise ki Idli ki mould, dosa ki tawa aur bahut sare utensils agar aap khud nahi bana nahi sakte hai to apko cook rakhna hoga lekin isme kharcha jyada ayenge.
Idli ya Dosa taiyar karne ke liye
- Dal (urad dal)
- Rice Flour
- Chana dal.
- Coconut.
- Mustard seeds
- Salt.
- Methi (fenugreek seed).
- Kadiya patta.
- Onion.
- Adrak.
- Nuts.
- Potato.
- Carrot.
- Green Chilli.
- Red Chilli.
Aap iss tarah apni saman jugad karke Idli ya dosa ki roadside stall laga sakte ho aur apna business start kar sakte to.
2. Papad Making Business: Aap Papad ki business bahut hi kam investment me shuru kar sakte hai. Papad India ki bahut hi demanding food item hai. India se laghbhag 45 country me papad ka export hota hai issliye eski demand aap soch sakte ho kitni hai. India me bhi iski demand bahut jyada hai. Papad banate kaise hai iske liye workshop bhi chalaya jata hai NGO ke taraf se ya Aagan Badi ke taraf se. Government ki taraf se load ki subidha bhi di jati hai India me.
Papad banane ke liye aapko ye sob saaman chahiye,
Papad agar aap hat se banayenge to kam kharcha me shuru ho sakta hai lekin usme mehnat bhi jyada hai aur aamdani bhi kam. Aap agar machine use karenge to jyada accha rahega jaise dough banane ki machine, pressing ke machine, drier ya sukhane ki machine, cooling and packing ke machine. Sab aajkal milte hai market me sakte hai lekin usme jyada investment chahiye sabse pahle aap hat se banaiye phir dhire dhire machine le lijiye. Machine bhi koi kism ke ate hai semi-automatic and Fully Automatic. Fully automatic machine ke price laghbhag 1,20000 Rs hai. Papad bhi ab bahut tarah ke ane lage hai market me jaise ki sabudane ke papad, rice papad aur har size ke papad, koi color ke.
Khaskar humhare yeha wadi bahut hi khas chij hai jis bhi sabji me dala jata hai uski taste bad jati hai. Issliye India me iski ek alag hi level ki demand hai aur issliye iski demand badti ja rahi hai puri duniya me India eski sabse badi exporter country hai.
Dal ki wadi ki bahut hi demand hai aur ye banana bhi bahut asan hai. Iske liye aapko koi khas investment nahi chahiye. Aap iss business ko khali 5000 se 10,000 Rs se shuru kar sakte ho.
Wadi Banane ke liye aapko niche diye gaye saman ki jarurat padegi. Aap apke area ke hisab se badi me masala add kare kyuki koi jyada masala pasand karte hai to koi jyada masalewale badi pasand nahi karte hai. Issliye market ki demand ki hisab se masala dale.
Wadi banane ke liye aap koi bhi grinding machine se piskar phir dhoop me isse sukhakar market me sale kar sakte ho. Pahle to sab sil batte ya Portar Pestle se dal ko pisa jata tha jo ki bahut tasty bhi hota tha wadi ki lekin ajkal mixer grinding machine ka use hota hai aur badi banane ke fully automatic machine bhi milti hai jo bahut costly hota hai. Fully automatic machine ke price 1, 80000 Rs hai. Iss business ko aap bahut hi kam investment me shuru kar sakte hai. Aap apni product ki advertisement ke liye social media jaise platform ka use kar sakte hai.
4. Pickle Making Business: Pickle ya achar ke nam sunte hi sabke muh me pani aa jata hai. India ke logo ko pickle ya aachar bahut pasand hai aur India ki achar ki demand puri duniya me hai. India me aachar bahut tarah ke paye jate hai jaise ki Aam ki (mango Pickle), Mirchi ki aachar, Beetroot pickle, Carrot pickle, cabbage pickle, Onion pickle, Lime pickle, Mixed pickle, Amla ki achar, Olive ki Achar, garlic aur bahut sare yeha tak ki Shrimp ki bhi achar milti hai India me. India ki achar bahut popular hai puri duniya me.
Agar aap bhi iss business ko start karna chahte ho to sabse pahle Achar banana sikh le internet se ya ghar ke kisi bujurg mahila se kyuki achar banana India me jyadatar logo ko pata hai pahle to sabke ghar me prepare kiya jata tha lekin aajkal ready made kharidte hai. India me har ek state me alag alag swad ke Achar milte hai aur unhe banane ki method bhi alag hoti hai. Achar bahut kisk ke hote jaise masala achar, mithha achar, sour (khatta achar). Mithha achar banane ke liye gur ya chini ka use hota hai.
Achar banane ke aap jis chij ki achar banana chahte hai woh le le aur sab masala ko kutkar phir tel, haldi, milakar, jar me bharkar dhoop de de aur ready hone pad packing karke bech de.
![]() |
| Papad |
2. Papad Making Business: Aap Papad ki business bahut hi kam investment me shuru kar sakte hai. Papad India ki bahut hi demanding food item hai. India se laghbhag 45 country me papad ka export hota hai issliye eski demand aap soch sakte ho kitni hai. India me bhi iski demand bahut jyada hai. Papad banate kaise hai iske liye workshop bhi chalaya jata hai NGO ke taraf se ya Aagan Badi ke taraf se. Government ki taraf se load ki subidha bhi di jati hai India me.
Papad banane ke liye aapko ye sob saaman chahiye,
- Dal (Gram flour, Urad dal ki flour).
- Heeng.
- Black Pepper.
- Ajwain.
- Oil.
- Baking Soda.
- Salt.
Papad agar aap hat se banayenge to kam kharcha me shuru ho sakta hai lekin usme mehnat bhi jyada hai aur aamdani bhi kam. Aap agar machine use karenge to jyada accha rahega jaise dough banane ki machine, pressing ke machine, drier ya sukhane ki machine, cooling and packing ke machine. Sab aajkal milte hai market me sakte hai lekin usme jyada investment chahiye sabse pahle aap hat se banaiye phir dhire dhire machine le lijiye. Machine bhi koi kism ke ate hai semi-automatic and Fully Automatic. Fully automatic machine ke price laghbhag 1,20000 Rs hai. Papad bhi ab bahut tarah ke ane lage hai market me jaise ki sabudane ke papad, rice papad aur har size ke papad, koi color ke.
3. Wadi (Warri) making Business: Papad ya wadi India ki famous chije hai jo ki puri duniya me famous hai. Khaskar Amritsari Papad (Warian) ya wadi (Warri).
Urad Dal |
Dal ki wadi ki bahut hi demand hai aur ye banana bhi bahut asan hai. Iske liye aapko koi khas investment nahi chahiye. Aap iss business ko khali 5000 se 10,000 Rs se shuru kar sakte ho.
Wadi Banane ke liye aapko niche diye gaye saman ki jarurat padegi. Aap apke area ke hisab se badi me masala add kare kyuki koi jyada masala pasand karte hai to koi jyada masalewale badi pasand nahi karte hai. Issliye market ki demand ki hisab se masala dale.
- Dal (Lentils). Dal aap koi bhi use kar sakte hai Urad dal ki badi ki jyada demand hai. Aajkal musur dal aur moong dal ki badi bhi market me available hai aur log isse bhi pasand kar rahe hai.
- Heeng.
- Saunff.
- Adrak.
- Coriander.
- Black pepper.
- Red Chilli power.
- Ajwain.
Wadi banane ke liye aap koi bhi grinding machine se piskar phir dhoop me isse sukhakar market me sale kar sakte ho. Pahle to sab sil batte ya Portar Pestle se dal ko pisa jata tha jo ki bahut tasty bhi hota tha wadi ki lekin ajkal mixer grinding machine ka use hota hai aur badi banane ke fully automatic machine bhi milti hai jo bahut costly hota hai. Fully automatic machine ke price 1, 80000 Rs hai. Iss business ko aap bahut hi kam investment me shuru kar sakte hai. Aap apni product ki advertisement ke liye social media jaise platform ka use kar sakte hai.
4. Pickle Making Business: Pickle ya achar ke nam sunte hi sabke muh me pani aa jata hai. India ke logo ko pickle ya aachar bahut pasand hai aur India ki achar ki demand puri duniya me hai. India me aachar bahut tarah ke paye jate hai jaise ki Aam ki (mango Pickle), Mirchi ki aachar, Beetroot pickle, Carrot pickle, cabbage pickle, Onion pickle, Lime pickle, Mixed pickle, Amla ki achar, Olive ki Achar, garlic aur bahut sare yeha tak ki Shrimp ki bhi achar milti hai India me. India ki achar bahut popular hai puri duniya me.
Agar aap bhi iss business ko start karna chahte ho to sabse pahle Achar banana sikh le internet se ya ghar ke kisi bujurg mahila se kyuki achar banana India me jyadatar logo ko pata hai pahle to sabke ghar me prepare kiya jata tha lekin aajkal ready made kharidte hai. India me har ek state me alag alag swad ke Achar milte hai aur unhe banane ki method bhi alag hoti hai. Achar bahut kisk ke hote jaise masala achar, mithha achar, sour (khatta achar). Mithha achar banane ke liye gur ya chini ka use hota hai.
Achar banane ke aap jis chij ki achar banana chahte hai woh le le aur sab masala ko kutkar phir tel, haldi, milakar, jar me bharkar dhoop de de aur ready hone pad packing karke bech de.
![]() |
| Aam ki achar (mango pickle) |
Oil, Saunff, Fenugreek seeds, Sarson (mustard seeds), Kalonji, Ajwain, Salt, (Jeera, Dhaniya), Turmeric powder, Amchur powder, Chilli yes sab masalo ko roast karke phir kutkar haldi, tel, namak dal kar dhoop me rakh diya jata hai phir taiyar hone par use becha jata hai. Alag alag state me alag-alag tarike se banate hai jaise ki dhoop me rakhkar ya cook karke. Alag-Alag state me alag-alag masale bhi use kiya jata hai. To aap bhi agar achar banane me expert hai ya sikhkar isse apni income ki jariya bana sakte hai aur apni naam ki level lagakar bech sakte hai.
Agar aapko meri ye article achhe lage to share jarur kijiyega.


























