ALOE VERA FARMING KAISE KARE?
![]() |
| Aloe Vera |
Uses of Aloe Vera
Aajkal har herbal products me Aloe vera ka use hota hai jaise beauty products soap, shampoo, hand wash, face wash, face cream, health tonic, Aloe vera juice aur bahut sare products me Aloe vera ka use hota hai. Pharmacy me bhi Aloe vera ka use hota hai. Ishliye Aloe vera cultivation ya farming million dollar business ho chuki hai puri duniya me India me khaskar.
Aajkal bade bade herbal company Aloe vera products banate hai ishliye ye company farmers se Aloe Vera kharidte hai aur contract bhi karti hai Aloe vera farmer se jaise ki,
Patanjali.
Himalaya.
Ayus.
Dabur.
Khadi Natural.
Botanica.
Herbalife.
Surya Herbal.
Pharmacy.
Aajkal sab herbal products me interest dikha raha hai chemical products ko chorkar. Ishliye India se bahut sare company herbal products export bhi karte hai.
Aloe vera Cultivation (Farming) Kaise Kare India me?
Aloe vera farming ke liye aapko jyada capital ki jarurat nahi padegi aur sab jagah ho jati hai aur koi khas dekhbhal ki jarurat nahi padti.
Bahut sare company to aajkal Buy-Back contract karte hai farmer se. Aloe vera farming bahut hi profitable business hai kyuki Aloe vera farming me bahut kam pani ki jarurat padti hai dusri crop ki tulna me aur production bhi bahut jyada hai dusri crop ki tulna me matlab ek bar Aloe vera plantation kijiye aur 5 sal tak kamaye.
Important things for Aloe Vera Cultivation (Farming) in India
2 x 2 feet area chorkar ek plant lagaye kyuki plant badne ke ke liye jagah ki jarurat padegi aur ek plant se bahut sare plant nikalte hai.
Drainage system se pani dena padta hai.
Aloe vera plant generally 10 inches size ke lagaye jate hai.
Gobar ka sar use kar sakte hai Aloe Vera farming ke liye.
Aloe Vera Cultivation (Farming) Marketing and Benefits
Aloe vera plant ke size ke hisab se uski price hoti hai. Generally 3 se 4.5 Rs per kg bikti hai.
Leaves ka rate jyada hai 5-6 Rs per kg bikti hai.
Agar aap Aloe vera gel banakar bech sakte hai to aur jyada profit hogi. Lekin uske liye jyada capital ki jarurat padegi.
![]() |
| Aloe Vera Farm |
Aloe Vera Cultivation (Farming) me Buy-Back Contract ya Agreement Kya Hai?
Patanjali Ayurveda and Herbalife jaise bade company herbal products ya Ayurvedic products ke liye buy-back contract kar rahe hai jaise jin farmer ke pas jamin hai unhe contract basis me Aloe vera farming ke liye contract dete hai hai aur Aloe vera grow hone ke bad unse kharid lete hai. Company ke kuch Term and Conditions rahte hai unko puri karne ke bad contract sign kar sakte hai. Kuch company farmers ye bhi condition me buy back Agreement karti hai ki agar unko lage dusri company unhe jyada rate de rahe hai to Agreement khatm karke dusri company ko bech sakte hai. Aloe vera farming bahut hi faidemand farming hai Indian farmers ke liye. Buy-back Agreement me generally 3 Rs per kg ka rate hota hai. Aloe vera plan ke size ke hisab se rate hota hai. Baby aloe vera plant 1 se 1.5 Rs per piece bikti hai.
Aloe vera farming farmers ke liye ek bahut hi achha option hai survive karne ke liye farming me. Aloe vera farming ke liye koi khas training ki jarurat nahi padti phir bhi training lene se achha hai kam se kam jankari honi chahiye ki kitni pani deni hai aur kon season me lagana hai aur dekhbhal kaisi karni hai.
![]() |
| Aloe Vera Gel |




No comments:
Post a Comment